Mohabbat Ka Irada Badal Jana Bhi Mushkil Hai

Mohabbat Ka Irada Badal Jana Bhi Mushkil Hai
Tumhain Khona Bhi Mushkil Hai Tumhain Pana Bhi Mushkil Hai

Udasi Tere Chehre Ki Gawara Bhi Nahi Laikin 
Teri Khatir Sitare Tor Kay Lana Bhi Mushkil Hai

Zara See Baat Pay Ankhain Bigo Kay Beth Jate ho
Tumhain Tu Apne Dil Ka Hal Batana Bhi Mushkil Hai

Payas Kehti Hai Kay Ab Rait Nachori Jaye

Payas Kehti Hai Kay Ab Rait Nachori Jaye
Apne Hisay Mein Samandar Nahi Ane Wala

Abhi to Ishq Mein Aysa Bhi Hal Hona Hai

Aankhen Bheeg Jati Hen - Wasi Shah

Aankhen Bheeg Jati Hen - Wasi Shah

Phir Se Payar Ka Dhoka Khaya Ja Sakta Tha

Mosin Naqvi – In Dino

Mosin Naqvi – In Dino

In Dino Shehar Bhar Kay Rasto Mein
Jachati Hai Bala Ki Verani !
Akas Dar Akas Dasti Rehti Hai
Be Sada Ayino Ki Herani
Saray Chehro Kay Rang Phekay Hein
Sari Ankhain Ujhar Lagti Hain
Saray Din Ahato Ki Ginti Mein
Sari Ratain Paharh Lagti Hein
Bujhti Jati Hein Yaad Ki Shamain
Apni Palko Se Anson Ki Nagain
Totatay Hein Tu Dil Nahi Chunta
Jese Shakho Se Zard Ro Patay
Totatay Hein Koi Nahi Sunta
Tu Kaha Hai Kaha Nahi Hai Tu?
Bhol Ja Yaad Kiyn Nahi Ata?
Hum Se Kaya Pochna Mizaj e Hayat?
Hum Tu Bus Ek Dareda Daman Hein
Bhar Kay Khasatar e Diyar e Wafa
Lay Kay Sadio Ki Baas Phirte Hein
In Dino Shehar Bhar Kay Rasto Mein
HUm Akele Udas PHirte Hein
Ab Ye Sochain Tu Ankh Bhar Aye
IN Akele Ujar Rasto Mein
Tu Bhi Shayed Kahin Nazar Aye

Mil He Jayega Hum Ko Bhi Koi Toot Kay Chahnay Wala


Mil He Jayega Hum Ko Bhi Koi Toot Kay Chahnay Wala
Ab Shahar Ka Shahar Tu Be Wafa Nahi Ho Sakta

Gunah – Yaad Hein Hum Ko Hamare He Gunah


Hum Ne Guzre Hoye Lamho Ka Hawala Jo Diya


Hum Ne Guzre Hoye Lamho Ka Hawala Jo Diya
Huns Kay Kehne Lage Raat Gai Baat Gai............

 
PoetryAll.com © 2013 | Powered by Blogger